सोमवार, 2 मार्च 2015

Nivesh kaha kare ?

          Paise to bahut hai nivesh Karna hai, lekin kare kaha samajh nahi aa raha hai. To aaiye mai batata hu ki nivesh kaha kare.
Nivesh ke bahut tarike hai,inko 2 bhago me bata gaya hai:

1: Debt market
Aur
2. Capital market.


1. Debt market:
Debt market me nimnlikhit nivesh ke options rahte hai:

•Bank deposits
Jaise-
a.savings account
b.recurring deposit
c.fixed deposit.

•PPF(public provident fund)

•Bonds and debentures

•Kisan vikas patra

•Post office deposits, etc


Ye sab nivesh debt market ke bhag me aate hai,
Debt market me risk bahut kam hota hai iske sath hi returns bhi simit hota hai.
Jo log kam risk lekar nivesh Karna chahte hai to unke liye upar diye hue nivesh ke tarike achche hai.
In sab nivesh ke options me nivesh karke 4% se 9% tak returns Kama sakte hai.


Ye ek sanchhipt blog tha debt market me nivesh ke vishay me. Kuch samay baad mai sabhi nivesh ke tariko KO achchi tarah samajhaunga.


Ab agla bhag yani ki Capital market KO agle blog me bataunga.
Isi tarah nivesh ke vishay me adhik janakari ke liye visit karte rahe-
www.niveshteach.blogspot.com

realated blog:
nivesh kya hai
nivesh kyo kare

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें